Nombre del artista: # A B C D E F G H I J K L M N Ñ O P Q R S T U V W X Y Z

Udit Narayan

Achchi Lagti Ho

Kavita Krishnamurthy & Udit Narayan

--udit narayan--
Mujhe Tum Chupke Chupke Jab Aise Dekhti Ho
Achchi Lagti Ho
Kabhi Zulfon Se Kabhi Aanchal Se Jab Khelti Ho
Achchi Lagti Ho

--Kavita Krishnamurthy--
Mujhe Dekhke Jab Tum Yuh Thandi Aahe Bharte Ho
Achche Lagte Ho
Mujhko Jab Lagta Hai Tum Mujhpar Hi Marte Ho
Achche Lagte Ho

--udit narayan--
Tum Mein Aey Meherbaan
Sari Hai Khoobiyan
Bholapan Saadgi
Dilkashi Taazgi

--Kavita Krishnamurthy--
Dilkashi Tumse Hai
Taazgi Tumse Hai

Tum Hue Humnashi
Ho Gayi Main Haseen
Rang Tumse Mile Hai Sare

--udit narayan--
Taarif Jo Sunke Tum Aise Sharma Jati Ho
Achchi Lagti Ho
Kabhi Haas Deti Ho Aur Kabhi Itraa Jati Ho
Achchi Lagti Ho

--Kavita Krishnamurthy--
Mujhe Dekhke Jab Tum Yuh Thandi Aahe Bharte Ho
Achche Lagte Ho

--Kavita Krishnamurthy --
Khoye Se Tum Ho Kyon
Soch Mein Gum Ho Kyon
Baat Jo Dil Mein Ho
Keh Bhi Do Keh Bhi Do

--udit narayan--
Sochta Hoon Ke Main
Kya Pukaron Tumhe
Dilnashin Naazneen
Mahroo Mehzabeen
Yeh Sab Hai Naam Tumhare

--Kavita Krishnamurthy--
Mere Itne Sare Naam Hai Jab Tum Yeh Kehte Ho
Achche Lagte Ho
Mere Pyaar Mein Jab Tum Khoye Khoye Se Rehte Ho
Achche Lagte Ho

--udit narayan--
Mujhe Tum Chupke Chupke Jab Aise Dekhti Ho
Achchi Lagti Ho
Kabhi Zulfon Se Kabhi Aanchal Se Jab Khelti Ho
( Achchi Lagti Ho)

--Kavita Krishnamurthy--
Achche Lagte Ho

Letra de Achchi Lagti Ho de Udit Narayan

. letras de canciones de Udit Narayan para cantar. Subir una canción